Total Pageviews

Saturday, August 20, 2011

Aur imtehaan mat le, is nacheez ke sabr ke,
ek to arsa laga unhe dil ki baat batane mein,
aur uspar unka kuch kehna, kuch soch kar ruk jaana...
Ek arse baad milne par woh rukh palat lena tera,
yeh milne ki khushi se sharmana samjhu.....
ya ab tak na milne ka gussa jatlana tera.
Tera......yeh nighahon se nighahen milana,,
bin bole....sab samajh jaana,
main aaj samjha....ki tu har baat nighahon mein dekh kar kehne ko kyon kehti hai,
tu nighahon se hi rooh tatol leti hai
Kami nahi hai ghamon ki zindagi mein,
ki yeh ishq ka rog laga baithun,
teri aankhon mein dekhkar baat karne se aasan hai,
ki aag, paani mein laga baithun.
Tujhe dekh-kar main khwahishon se bhar aata hoon,
Jo sama na sake aur, wo pyala ban jaata hoon,
par tu mujhe tab hi kyon paati hai,
jab ye khwahishen, main apne armanon ke samandar mein udel aata hoon
Marz aisa diya ki pathar bhi ro diya,
zakhm itna khureda ki nasoor ho diya,
bhulkar unhe pana chaha jo sukoon,
unhi ki yaadon mein doobkar, vo bhi kho diya
shorida hain hum us na-ashna par is kadr,
ki chot kha kar bhi, unhein nigheban jaan rahe hain.
Kuch sawalon ka jawab sahi,
kai jawabon ka sawal hu,
kaiyo ne padhi, aisi khuli kitaab sahi,
koi samajh na saka, aisa ek khayal hu
Dilli tamanna hai ki unnka deedar ho jaaye,
appni nazron chalaya teer, apne hi seene paar ho jaaye,
par wo, hamarii hasrat se anjaan, parda nasheen hain,
sochte hain, "kahin deewana, aur bekaraar na ho jaaye"
Kuch sun-ne ki chah mein,
jab tu meri aankhen tatolti hai,
daastaan sunane ki arzoo rakhti zubaan,
eklak bezubaan si kyu hoti hai.