Total Pageviews

Monday, April 9, 2012

Insaan

Mai INSAAN hu,

Kam na rahe is bhook me paa zyada leta hu,
Kal sanwaarne ke naam par apna aaj bigaad zyada leta hu.

Banane ki ummeed me, mita zyada deta hu,
Naa khone ki daud me, gava zyada deta hu.

Chuppi saadhne ki aivaz me, suna zyada deta hu,
Yaad rakhne ki koshish me, bhula zyaada deta hu.

Aaj, khhud se rubaru jab hua,
ye bhi na jaana ki insaan se bhook kab hua.
Sab tha paas mere, fir bhi kuch nahi tha,
Khushhiyaan bahut thi, fir, bhi khush nahi tha.

Aaj jab peeche dekha to jaana
Ki, galtiyon ka putla, do din ka mehmaan hu,
Uss... ki duniya me hu, mai to SIRF insaan hu .....
Jab paas nahi ho tum hoti, to ji karta hai, tumhe bulaun,
Aur saamne jab ho aati, tab kuch bol hi na paun.
Kaha to sab sunte hain, main tumhaari khamoshi bhi sunta jaun,
har roz tumhara ek naya roop dekhkar, iss uljhan me pad jaun,
Kya ye bhi tum ho? Mai shayad ye kabhi samajh na paun,
Apni iss, uljhan suljhaane, sochta hu,
Kyu na tah-umr, tumhaare hi sang bitaun......
Zindagi, aaj fir se chauka de mujhe,
Khud-hi ko KHUD saabit karne ka, ek aur mauka de mujhe,
Har shikhar se oonchi shikhar, fateh karni ki thaani hai,
Faulaad ko apna loha manwaane ki, aaj meri manmaani hai
Tumhaare na hone ka sochkar hi ghabraun,
Apne is nadaan dil ko kaise samjhaun?
Samajhne ke liye to ek lamha hi kaafi hai,
Tere bin, wo sukoon bhara lamha kahan se laun?
Zindagi ki aagosh mein, maut ki dua karta hu,
Sang tere har pal zindagi,
Bin tere har pal marta hu
Socha tha, tumse khafa hokar,
kuch din tak kuch na kahunga,
aahat sunte hi khoon me ravani aa gayi,
zubaan par bayaan hoti, hamari kahani aa gayi
Ek aahat sunne ke liye poori shyam guzar jaati hai,
Wo aahat tumhaari na hone par,
humaari to kaaynat hi bikhar jaati hai
Tumhaari awaaz ko hi tumhaari maujoodgi maante hain,
Tum bin kaise gauzarta hai har pal, ye sirf hum jaante hain