Total Pageviews

Monday, April 9, 2012

Insaan

Mai INSAAN hu,

Kam na rahe is bhook me paa zyada leta hu,
Kal sanwaarne ke naam par apna aaj bigaad zyada leta hu.

Banane ki ummeed me, mita zyada deta hu,
Naa khone ki daud me, gava zyada deta hu.

Chuppi saadhne ki aivaz me, suna zyada deta hu,
Yaad rakhne ki koshish me, bhula zyaada deta hu.

Aaj, khhud se rubaru jab hua,
ye bhi na jaana ki insaan se bhook kab hua.
Sab tha paas mere, fir bhi kuch nahi tha,
Khushhiyaan bahut thi, fir, bhi khush nahi tha.

Aaj jab peeche dekha to jaana
Ki, galtiyon ka putla, do din ka mehmaan hu,
Uss... ki duniya me hu, mai to SIRF insaan hu .....

1 comment:

  1. Is duniya ne uska hath pakadkar use chalna sikhaya,
    Fir isi duniya ne use dhakelkar girna sikhaya..
    Galtia kar-kar k us insan ne chalna sikha.
    Dusro ko khushi dete dete usne rona sikha..
    Har baar khud se wada karta tha..
    Dusro par bharosa na karne ki kasme khata tha.
    Har bar girne k bad rota tha..fir sambhal kar usi rah par chalne lagta tha..
    Bhul jata tha us kasmo ko, un vado ko jo usne kabi khud se to kabi apni taklifo se kiye the..
    Ab kya kare, chahe gire ya gir kar uthe,hai to vo insan hi..

    ReplyDelete