Aapne zindagi ke kya khaakh maze uthaaye hain,
Agar aapne aam, pedon se todke nahi khaaye hain
Yeh sunkar, ek babba josh mein aaya, aur
apne ghar ke bagal mein, aam se lade ped par lapkaya.
Ped par na chadne ki, usne apni patni ki ek araz na suni
use laga, wo thi Meneka, aur wo Rishi Muni.
Babbey ne ped par lade saare aam chatkaye, aur jab utarne ki baari
aayi
kar aankh bandh, le prabhu ka naam, ek lambi chalang lagayi
Babbey ne socha tha jo landing spot, wo miss ho gaya
Maze uthaane ka bana banaya plan, diss ho gaya
Landing site par ek accident ki khabar aayi thi,
Shaheed hui hain ek reed ki haddi aur do ghutne ye report likhwayi
gayi
Babbey ne bebbe par ilzaam lagaya
Apni harkaton ka nateeza, bebbe ke matthe malaya
Pedon se aam khaane par isi ne panauti lagayi thi
Jo aaj mere ghutne toote hain, ye isi ki duhayi thi
Ye sunkar poori duniya dang thi
Kya unki jeevan sangini, ab unke na-sang thi
Case jaise taise rafa dafa hua
Bhagwaan ki krupa se dono ghutne replace hue, jaise hi doctor ne
chua
Babbey ne hadd to tab machayi
Jab 2 successful knee placements ke baad
Usne pat-knee replacement ki araz likhwayi.
Ye araz dekh kar doctor bhi chaunk gaya aur usne nurse ko bulaya
Aur is special requirement ka RFQ float karwaya.
RFQ ki closing date jab nazdeek aayi
Vendors se zyaada requesters ki qatar lambi nazar aayi
Koi gidgidaya, kisi ne oonchi approach lagwayi
Kuch ne to ghar par mithai bhi bhijwayi
Itni mithai dekh kar doctorni boli,
ki aisa kaunsa kaam kiya hai, jo itni mithai aayi hai
Market mein "Good News" ki, koi afwah to nahi udayi hai?
Doctor bola, knee replacement ke saath, ab mujhe pat-knee
replacement ki requests bhi aayi hain
Sochta hu ki parallel business khol lu, aur mazak mein bola ki
Shubh kaam ki shururat, mahurat ka nariyal ghar par hi phod du.
Ye sunkar doctor ki biwi gurrayi, aur boli
Ye sab meri maa ki galati hai
20 saal pehle lawyer ke badle, meri shaadi tumse kyu karwayi
Hospital ki karistaani ka gul, ghar par khil raha hai
20 saal ki seva ka ye phal mil raha hai
No comments:
Post a Comment